Jamshedpur ke Students ne dikhaya Social Responsibility
Jamshedpur, Feb 8: Sunday morning Domuhani Ghat par ek bade level ka cleanliness aur voluntary service drive organise kiya gaya. Swarnarekha aur Kharkai nadiyon ke sangam sthal par hue is abhiyan me local citizens ke saath-saath students ne bhi badh-chadh kar hissa liya.
Is drive ki sabse badi highlight yeh rahi ki lagbhag 90% volunteers students the. Kerala Public School aur Tata Workers Union School ke students aur teachers ne milkar ghat ki safai ki aur social responsibility ka strong message diya.
Safai abhiyan me Lions Club, Inner Wheel Club, social activist Chandan Mahto, Veer Rudra Pratap, Gaurav aur unki team ke saath kai jagruk nagrik bhi shamil hue. Sabhi ne shramdaan ke zariye nadiyon ko clean rakhne ka sandesh diya.
ये भी पढ़ें:
- JSSC Assistant Teacher Result Update: गणित–विज्ञान विषय में संशोधन, 238 नए अभ्यर्थी सफल
- UPI New Rules: 24 फ़रवरी से UPI यूजर्स के लिए नए नियम लागू, GPay–PhonePe–Paytm पर दिखेगा असर
Organisers ne bataya ki yeh drive sirf kachra uthane tak simit nahi thi, balki iska main aim awareness create karna aur youth me moral values develop karna tha. Students ka enthusiasm yeh dikhata hai ki positive change lane me yuvaon ki role kaafi important hai.
Is mauke par Jamshedpur ke school principals se appeal ki gayi ki wo students ko environmental activities se jodein aur “Swachhata Pukare” campaign ko support karein.
Program ka samapan clean rivers aur healthy society ke sankalp ke saath hua.














